Bhule huye nazmo se lamhe churayeho kabhi?
Dhire dhire bheti chandni me dupki lagaye ho kabhi?
Zindegi inhi me basti hai
Guzara karti hai ....
Aag phukti hai chule me
Rotiya pkati hai.
Dhundh ko chirti huyi kirne nikalti hai
Kirno me nahati huyi parinde dekhe ho kabi?
Ye lamho ke lariya banate hai
Unhi lamho me piroke, phir ashiyana.....
Ashiyana tut gya tha gaye shaal
Is shaal oapas ande sambhale huye hai
Ando me drare parte huye dekhe ho kabhi ?
Zindegi unhi draro me basti hai
Guzara karti hai......
Nanhi si koi pari ,sari pahaneki zid karti hai ...
Mitti se halwa, patto se puri banati hai.
MItti me mithi swad hoti hai
Churio ki khanak chupi hoti hai
Rangbirangi churio se saje hat dekhe ho kabhi ?
Zindegi unhi rango me basti hai
Guzara karti hai.....
Patto se sarakti sabnam hoto se chakhe ho kabhi ?
khoye huye ghum pe muskuraye ho kabhi ?
Zindegi inhi me basti hai
Guzara karti hai .....
Aag phukti hai chule me
Rotiya pkati hai.
DEBJANI MUKHERJEE
A multilingual poet having perfect command over all the 3 languages - have never come across - such a talented person ! Jo bhi kahun - kam hoga - touchwood debjani !
ReplyDelete